is karam ka karoon shukar kaise ada lyrics

is karam ka karoon shukar kaise ada lyrics Nusrat Fateh Ali Khan NAAT

Aaa


Bebandagi Urooj Kia, Banda Ker Dia

Tara Mere Naseeb Ka Tabinda Ker Dia


Kitni Bari Huzoor Ki Banda Nawazian

Mujh Ko Mere Sawaal Ne Sharminda Ker Dia


Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada

Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Ker Dia


Mein Sajata Tha Sarkaar Ki Mehfilein

Mujh Ko Her Gham Se Rub Ne Bari Ker Dia


Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada

Gham E Aashqi Se Pehle Mujhe Kaun Janta Tha


Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha (x2)


Mohabbat E Mustafa Se Pehle Mein Kuch Nahi Tha Mein Kuch Nahi Tha

Karam Ki Is Intiha Se Pehle Mein Kuch Nahi Tha Mein Kuch Nahi Tha


Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha (x2)


Tere Karam Ka Tassaduq Teri Ata Ke Nisaar

Mein Kia Tha Aur Mujhe Kia Bana Dia Tu Ne


Pehle Mujhe Kaun Janta Tha, Pehle Mujhe Kaun Janta Tha

Gham E Aashqi Se Pehle Mujhay Kaun Janta Tha


Teri Zaat Ne Bana Di Meri Zindagi Fasana

Mein Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon


Ata Kia Mujh Ko Dard E Ulfat

Mein Is Karam Ke Kahan Tha Qaabil

Huzoor Ki Banda Parwari Hai


Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon

Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon...


Bun Gayi Baat Unka Karam Ho Gaya

Shaakh E Nasal E Tamanna Hari Ho Gayi

Mere Lub Pe Mohammad Ka Naam Aa Gaya

Baithe Baithe Meri Haazri Ho Gayi


Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon


Khaliq Ne Mujh Ko Meri Talab Se Sila Dia

Sarmaya Dar E Ishq E Mohammad Bana Dia


Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon, Shukr Kaise Ada Is Karam Ka Karoon


Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada

Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Ker Dia


Mein Sajata Tha Sarkaar Ki Mehfilein

Mujh Ko Her Gham Se Rub Ne Bari Ker Dia


Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein


Jab Lia Naam E Nabi Mein Ne Dua Se Pehle

Ho Gayi Mujh Pe Ata Meri Khata Se Pehle


Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein, Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein


Mohammad Mustafa Ka Naam Bhi Kia Ism E Aazam Hai

Jahaan Koi Na Kaam Aaye Wahaan Ye Kaam Aata Hai


Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein, Zikr E Sirkaar Ki Hein Bari Barkatein


Mil Gayeen Raahatein, Azmatein, Rufatein?


Mein Gunaahgaar Tha Beamal Tha Magar

Mustafa Ne Mujhe Jannati Ker Dia


Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata, Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata


Qamli Wale K Qalam Ki Baat Hai

Warna Mujh Bande Kia Kia Auqaat Hai


Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata, Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata


Jitna Dia Sirkaar Ne Mujh Ko Utni Meri Auqaat Nahi Hai

Yeh To Karam Hai Un Ka Warna Mujh Mein To Koi Baat Nahi Hai


Lamha Lamha Hai Mujh Per Nabi Ki Ata

Doston Mein Aur Mangoon Maula Se Kia


Kia Yeh Kam Hai K Mere Khuda Ne Mujhe

Apne Mehboob Ka Ummati Ker Dia


Gale Mein Shah E Bad Aaqa?

Bhala Yeh Kam Hai Nishaan Mujh Se Benishaan K Liyeh


Apni Qismat Pe Kiyoon Na Naaz Karoon

Loag Kehte Hein Shah E Badha Mujh Ko


Kia Yeh Kam Hai Bhala, Kia Yeh Kam Hai Bhala


Mujhe Mil Gayi Dono Alam Ki Shahi

Mera Un K Mangtoon Mein Naam Aa Gaya Hai


Kia Yeh Kam Hai Bhala, Kia Yeh Kam Hai Bhala


Manam Adna Sana Khuwan E Mohammad

Ghulam E Az Ghulaman E Mohammad


Kia Yeh Kam Hai Bhala, Kia Yeh Kam Hai Bhala


Bus Inko Safa Kasht Bechara Janoon

Ghulam E Ghulaman E Aal E Mohamad


Kia Yeh Kam Hai Bhala, Kia Yeh Kam Hai Bhala


Kia Yeh Kam Hai K Mere Khuda Ne Mujhe

Apne Mehboob Ka Ummati Ker Dia


Jo Dar E Mustafa K Gada Ho Gaye

Daikhte Daikhte Kia Se Kia Ho Gaye


Aise Chasm E Karam Ki Hein Sirkaar Ne

Dono Aalam Ne Un Ko Ghani Ker Dia


Koi Mayoos Lauta Na Dirbaar Se

Jo Bhi Manga Mila Mere Sirkar Se


Saqde Jaoon Niyaazena Lajpaal Ke

Her Gada Ko Sakhi Ne Sakhi Ker Dia


Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada

Jo Karam Mujh Pay Mere Nabi Ker Dia...